Taxation, corporate registration aur advisory se mutaliq aam sawalaat ke jawabat.
Hum FBR Tax Filing & Compliance, Income Tax/Sales Tax Returns, SECP Company Incorporation, Accountancy & Bookkeeping, Auditing, Legal Advisory aur Trademark registrations jaisi tamaam professional services faraham karte hain.
Aam tor par har saal 30th September income tax returns filing ki deadline hoti hai, lekin FBR ki taraf se notifications ke mutabiq dates extend bhi ho sakti hain. Humare consultants aapko waqt par remind aur guide karte hain.
Company incorporation ke liye directors/shareholders ke CNIC copies, proposed company name, registered office address, principal business activity ki tafseel, aur authorized capital ki details darkar hoti hain. Yeh sab hum SECP ke portal par easily process karwa dete hain.
Ji bilkul! Aap Karachi ya Pakistan ke kisi bhi shehar se humari online consultation, phone call ya WhatsApp ke zariye rabta karke apni tamam tax aur corporate problems solve karwa sakte hain.
Agar aapko FBR ya SRB ki taraf se koi notice ya audit ka samna ho, toh hamari expert team usko review karti hai, legal grounds tayar karti hai aur FBR portal par professional reply submit karke mamlay ko hal karti hai.